Wednesday, January 16, 2013

Written by one of Marhum M.Huzefa Bhai's classmates :


Chhor kar aaj hame tu chala hai yu,
rooh tak kaanp gayee aaj tere jaane par

Yaad mein teri aaj roye hai milke  yu,
Jaise rota hai koi apno ke guzarne par

Dekh ke dono mere bacche sochta hu yu,
Kya guzarti hogi aaj tere baccho par

Jab kabhi humse mila humko hansaya hai yu,
Yaad bas karke use aansu gire chehre par

Jamea mein parha, ki waha hi khidmat,
is tarah ke khara ho jata tu ek bulaane upar

Na kabhi aaya khayaal hoga tere saath mein yu,
Kaanp jata hai jism soch wo nazare par

tha mila humse moharram ke dino mein woh yu
Tab na socha tha ki na milega tu jaane par

Jo shafa'at hai mili dono moula ki yu,
Sabr ko bandhta hai ye hamare dil par..

No comments: